Saturday 3 September 2011

Hindi Stories for kids: Sher Aur Chuha

Ek baar ek Sher apni gufa mein so raha tha. Tabhi ek chuha kahin se aakar uske uppar koodne laga. Jisse uski neend toot gayi. Sher ko chuhe par itni jor se gussa aaya ki usne chuhe ko apne panjay mein jakad liya aur usko marne ka sochne laga. Chuha bahaut dar gaya. Usne kanpte huye sher se bola, " hey Sher raja ! agar aap mujhe jane  denge to aap ka bahaut upkaar hoga aur aapke is upkaar ko mein waqt aane par jaroor chuka doonga." Yeh sunkar sher ko chuhe par daya aa gayi aur ussne usse jane diya. Par wah mann he mann hansa ki bhala yeh chotta sa chuha mera upkaar kya chukayega.
Samay bitatta gaya aur ek din hamesha ki tarah sher shikar ki talash mein jungle mein ghoom raha tha ki ek shikari ne usse chalaki se apne jaal mein pakad liya. Sher apni sahyata ke liye jor-jor se dahaad marne laga. Sher ki awaz sunkar chuha wahan aaya. Sher ko jaal mein phansa dekhkar ussne turant apne nukele danto se jaal kaat diya aur sher ko azad kar diya. Sher ne chuhe ka bahaut dhanyawad kiya. uss din sher ko samajh aaya ki kissi bhi prani ki kabliyaat usske bahari roop se nahi karni chaiye aur kabhi chotte- bade ka bhaidbhav nahi karna chaiye.
Moral : Hamesha sabki madad karni chaiye kyunki jo doosaron ki madad karta hai, usski bhi sab madad karte hain.

No comments:

Post a Comment